Pyaas liye manwa humara ye tarse,
Ek boond teri daya ki jo barse,
Ban jaaye paawan ye jeevan saara,
Jaise ganga ki ho dhara, jaise ganga ki dhara.
Pyaas liye manwa humara ye tarse......
Jaane anjaane karte rahen bhool hum,
Choone aaye hain charnon ki ab dhool hum,
Teri karuna mile - hain bure ya bhale,
Teri bagiya ke phir bhi to hain phool hum.
Pyaas liye manwa humara yeh tarse......
Tumse hai bas humari yahi prathana,
Leke aaye hain hum to yahi kaamna,
Humko vardaan do, aisa tum gyaan do,
Rahe sabke liye prem ki bhavana.
Pyaas liye manwa humara ye tarse...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
-
Abhi Toh Saji Hain lyrics Ab Main Kya Bolu lyrics Ab Ke Sawan Mein Ji Dare lyrics Ab Ke Sajan Saawan Me lyrics Ab Aage Te...
-
Ho o, a a aa a A a a aa aa aa Naina barse, rim jhim rim jhim Naina barse, rim jhim rim jhim Piya tore aawan ki aas Naina barse, rim jhim rim...
-
mehbooba - 2 (shehron mein se shehar suna bhai shehar suna tha dilli dilli shehar mein chaandani naam ki ladki mujhse milli uski jhil si aan...
No comments:
Post a Comment