hans hans ke haseenon se nazar chaar kiye ja
jo bhi kare pyaar use pyaar kiye ja -2
(ye zulf ye abaru ye lachakati hui baanhen
bijali si giraati hui khaamosh nigaahen) -2
hai taaqat-e-deedaar to deedaar kiye ja
hans hanns ke ...
(laazim hai muhabbat mein lagaavat bhi ada bhi
ulfat mein mile kuch to tadapane ka maza bhee) -2
iqaraar kiye ja kabhi inkaar kiye ja
hans hanns ke ...
har ek ada husn ki aankhon mein basa le
seene mein zara ishq ka toofaan jaga le
soyi hui taqadeer ko bedaar kiye ja
hans hanns ke ...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
-
Abhi Toh Saji Hain lyrics Ab Main Kya Bolu lyrics Ab Ke Sawan Mein Ji Dare lyrics Ab Ke Sajan Saawan Me lyrics Ab Aage Te...
-
Ho o, a a aa a A a a aa aa aa Naina barse, rim jhim rim jhim Naina barse, rim jhim rim jhim Piya tore aawan ki aas Naina barse, rim jhim rim...
-
mehbooba - 2 (shehron mein se shehar suna bhai shehar suna tha dilli dilli shehar mein chaandani naam ki ladki mujhse milli uski jhil si aan...
No comments:
Post a Comment